Halal haram
سوال
Assalam o alaikum. Mufti sahab pochna yeh tha k aik idara hai. Jiska nam 1LINK hai. Yeh idara bht si sahooliyat faraham krta hai. Jesa k atm machine se paisey nikaalna ya transfer krna waghera. Yeh idara bank k karobaar ko sahooliyat faraham krta hai. Yeh idara khud bank to nae hai lekin is idarey ka Sara karobaar bank se hi hota hai. Is idarey ki saari kamai banks se hi hoti hai. Kiya is tarah k idarey main naukri krna sahi hai? Kiya is ki kamai per b bank ki kamai ka hukum hoga??? Rehnumai farmayen jazak Allah